Doubtnut Promotions Sticky

Chapter 4 MAGNETIC EFFECTS OF ELECTRIC CURRENT Class 10 PHYSICS Ncert Solutions

Niche diye figure ko dekhiye aur bataiye ki Electric bell, Crane lifting iron junk, Bullet train and MRI machine in sb chijo me common kya hai? In sb me common ye hai ki ye sabhi magnetic effect of electric current ke according work karte hai jise electromagnetism bhi kehte hai, jiske baare me hum is chapter me study karenge.

ocr_image

Hum yaha pr different shape ke conductors ke around magnetic fields, electromagnets aur permanent magnets ki study karenge. Electricity me humne jo electric current ke baare me baat ki. Is electric current ke kuchh effects bhi hote hai, jaise ki heating effect, chemical effect aur magnetic effect. Jab kisi conducting wire se hum electric current pass karte hai, to ye wire ko heatup kr deta hai ise hi heating effect of electric current kahte hai jiska simple eg. hai electric bulb. Electric current ko kisi compound se pass karaya jata hai, ise simpler subtances me decompose karne ke liye jaise ki eg. electrolysis of water. Jab water se electric current pass karte hai to water ke compound hydrogen aur oxygen me divide ho jate hai. Electric current yaha pe electrolysis ka karan hai yahi chemical effect of electric current hai.
Is chapter me hum electric current ke magnetic effect pr hi focus karenge.
Magnetism ko ancient times se hi jana jata hai. Electricity 1700 me discover hua. Baad me 1820 me oersted naam ke scientist ne bht hi interesting phenomenon discover kiya. Jisme scientist ne ek wire aur ek magnetic compass use kiya. Wire ko magnetic compass ke pass rakha, jab is wire se koi current flow nahi karta hai tab magnetic compass normal apne north aur south direction me hota hai but jab wire se electric current flow karte hai to magnetic compass deflection show karta hai aur fr se electric current wire se flow karna band kr dete hai to magnetic compass normal north and south position me stable ho jata hai. Magnetic compass magnetic field se hi deflect hota hai isliye oersted ne ye conclusion diya ki wire electric current carry karta hai to wo magnet ki tarah behave karta hai, ek current carrying wire apne surrounding me magnetic field create karta hai yahi magnetic effect of electric current ya electromagnetism kehlata hai. Electric current ka magnetism produce karna ek magic ki tarah hai. Electromagnetism ki khoj se phle electricity aur magnetism ko seperately treat kiya jata tha but oersted ke experiment se ye maan liya gaya ki electricity aur magnetism aapas me linked hai. Electricity magnetism produce kr sakta hai. Kya magnetism bhi electricity produce kr sakta hai? Ha magnetism bhi electricity produce karta hai aur isi ka use karke electric generator se electricity generate kiya jata. Niche figure me bar magnet, magnetic needle and magnetic compass dikhaya gaya hai.

ocr_image

Read More
Class 10PHYSICS
ChapterMAGNETIC EFFECTS OF ELECTRIC CURRENT
MediumEnglish
Academic Year2023-2024

Chapter 4 MAGNETIC EFFECTS OF ELECTRIC CURRENT Class 10 PHYSICS Book Solutions

These book solutions are available for free to all students. You can also view these solutions on our Android App.

ZEN PHYSICS (KANNADA ENGLISH) - MAGNETIC EFFECTS OF ELECTRIC CURRENT

OSWAAL PHYSICS (KANNADA ENGLISH) - MAGNETIC EFFECTS OF ELECTRIC CURRENT

U-LIKE PHYSICS - MAGNETIC EFFECTS OF ELECTRIC CURRENT

PRADEEP PHYSICS - MAGNETIC EFFECTS OF ELECTRIC CURRENT

MBD - MAGNETIC EFFECTS OF ELECTRIC CURRENT

HT Olympiad Previous Year Paper - MAGNETIC EFFECTS OF ELECTRIC CURRENT

HC VERMA - MAGNETIC EFFECT OF ELECTRIC CURRENT