Doubtnut Promotions Sticky

CONSERVATION OF PLANTS AND ANIMALS for Class 8 SCIENCE

Introduction

Jaisa ki hamare chapter ka name hai “Conservation of plants and animals” toh iss chapter mein hum plants aur animals ko conserve karne ke baare mein padhenge. Yaha hum janege ki kaise human activities ki wajah se nature aur other living organisms ki life affect ho rahi hai aur hum isko kaise theek kar sakte hai. Iss chapter mei hum deforestation, uske causes, consequences etc. ke baare mein padhenge. Yaha hum padhenge ki government ne plants aur animals ke conservation ke liye kya kya steps liye hai, koun-koun se places banaye hai eg- wildlife sanctuaries, national parks, biosphere reserves etc. Iss chapter ko padh kar hum janege ki red data book kya hoti hai, migration kya hota hai aur reforestation kaise aur kyo kiya jata hai etc.

Deforestation and Its Causes

Land ko other purposes ke liye use karne ke liye forests ko clear karne ko deforestation kehte hai.
Deforestation ki wajah se bahut saare animals ka habitat bhi loss hota hai. Man-kind ke survival ke liye different plants aur animals ki variety earth par essential hai woh deforestation ki wajah se khatam hoti ja rahi hai. Inn forests ko different purpose ke liye clear kiya jata hai.

  • Houses and factories banane ke liye.
  • Cultivation ke liye land procure karne ke liye.
  • Wood ko fuel ya furniture ki tarah use karne ke liye.
  • Natural forest fires aur severe droughts ki wajah se bhi deforestation hota hai.
  • Consequences Of Deforestation

  • Deforestation nature ke balance ko disturb karta hai, iski wajah se earth par temperature aur pollution ka level increase hota hai.
  • Yeh atmosphere mein carbon dioxide ke level ko bhi increase karta jisse global warming cause hoti hai aur ground water ka level low karta hai.
  • Deforestation earth ke temperature ko increase karta hai jiski wajah se water cycle disturb hoti hai aur rainfall reduce hota hai jiski wajah se droughts hote hai.
  • Soil fertility ko decrease karta hai aur isse soil ki other properties jaise nutrient content aur texture etc. bhi affect hoti hai.
  • Natural calamities jaise droughts aur floods etc. ke chances increase karta hai.
  • Desertification- Deforestation ki wajah se soil erosion hota hai jiski wajah se soil ki top layer jo sabse fertile hoti hai woh remove ho jati hai aur nichhe wali hard aur rocky layer expose ho jati hai. Yeh less fertile hoti hai, isme humus bhi bahut less amount mein hota hai.
    Deforestation ki wajah se yeh fertile land deserts mein convert hona start ho jati hai. Iss process ko hum desertification kehte hai.
    Deforestation ki wajah se soil ki water holding capacity bhi decrease hoti hai jiski wajah se water soil surface se ground mein seep nahi kar pata aur floods ke chances increase ho jate hai. Deforestation ki wajah se plants aur animals ke habitat loss hote ja rahe hai jiski wajah se unki species bhi khatam ho sakti hai, isliye hamein inko protect karne ke liye kuchh steps lene chahiye. Iske baare mein hum next topic mein padhte hai.

    Conservation Of Forest and Wildlife

    Conservation ka matlab hai bachana, toh conservation of forest and wildlife ka matlab hai forests ko bachana aur waha rehne wale plants aur animals ko bhi alive rakhna. Forests aur wildlife ke conservation ke liye government kuchh agencies ko appoint karti hai taki wo inke conservation mein help kar sake. Government ne forests aur wildlife ko conserve karne ke liye kuchh rules, methods aur policies banaye hai. Flora, fauna aur unke habitats ko protected areas mein rakhne ke liye kuchh wildlife sanctuaries, national parks aur biosphere reserves etc. banaye gaye hai. Yeh plants aur animals ko conserve karne ke liye protected areas hote hai.
    Wildlife sanctuaries: Aise areas jaha kisi bhi disturbance se bachane ke liye animals ko protect karke rakha jata hai unko wildlife sanctuaries kehte hai.
    National park: Aise areas jo wildlife ke liye reserve hote hai, yaha par yeh apne habitats aur natural resources ko freely use kar sakte hai.
    Biosphere reserve: Wildlife, plant and animal resources ke liye protected large land areas ko biosphere reserves kehte hai.

    Biosphere reserves

    Biodiversity ke conservation ke liye jo areas banaye gaye hai unko biosphere reserves kehte hai. Yeh area ki biodiversity ko maitain rakhte hai.
    Biodiversity- Ek particular area mein plants, animals aur microorganisms ki jo variety paayi jati hai usko biodiversity kehte hai.
    Biosphere reserve ke andar aur bhi protected areas ho sakte hai. Eg- Pachmarhi biosphere reserve mein ek national park (satpura) aur do wildlife sanctuaries (bori aur pachmarhi) hai.

    ocr_image

    POINT 1

    Deforestation: Deforestation can be defined as the large-scale removal of trees from forests (or other lands) for the facilitation of human activities.

    Global warming: Global warming—refers to the general increase in the earth's average temperature, which causes changes in climate patterns across the globe.

    Droughts: A drought is a period of below-average precipitation in a given region, resulting in prolonged shortages in its water supply.

    Desertification: Desertification is the degradation process by which a fertile land changes itself into a desert by losing its flora and fauna, this can be caused by drought, deforestation, climate change, human activities or improper agriculture.

    Wildlife sanctuary: Wildlife sanctuary is the place where wild animals are protected in their natural habitat.

    National park: A national park is a relatively large area of scenic beauty protected and maintained by the Government to preserve flora and fauna, landscape, historic objects of the area and places of scientific interest.

    Biosphere reserves: A biosphere reserve is a large,protected area of land meant for the conservation of wildlife,biodiversity and the traditional lifestyles of the tribal people living in the area.

    Biodiversity: Biodiversity is the variety of plants, animals and microorganisms generally found in an area.

    Flora and Fauna

    Flora- Ek particular area mein jo plants paaye jaate hai unko hum uss area ke flora kehte hai. Pachmarhi biosphere reserve ke flora ke kuchh examples hai- Sal, teak, mango, jamun, silver ferns, arjun, etc.

    ocr_image

    Fauna- Ek particular area mein jo animals paaye jaate hai unko hum uss area ke fauna kehte hai. Pachmarhi biosphere reserve ke fauna ke kuchh examples hai- Chinkara, blue bull, barking deer, cheetal, leopard, wild dog, wolf, etc.

    ocr_image

    Endemic species

    Species- Species population ka ek aisa group hai jo interbreed karne ke liye capable hota hai aur fertile offsprings produce karte hai. Ek species ke members ki characteristics common hoti hai.
    Endemic species plants aur animals ki aisi species hoti hai jo exclusively ek particular area mein paayi jati hai aur kahi aur nahi paayi jati. Ek particular type ke plant ya animal kisi zone, state ya country ke endemic hote hai.
    Eg- Sal aur wild mango Pachmarhi Biosphere Reserve ke endemic flora species hai. Bison, flying squirrel aur Indian giant squirrel Pachmarhi Biosphere Reserve ke endemic fauna species hai.

    ocr_image

    Aaj-kal deforestation, habitat ke destruction aur increasing population etc. ki wajah se endemic species bahut affect ho rahi hai aur unki existence bhi danger mein hai.

    Wildlife Sanctuary

    ocr_image

    Yaha par wild animals ko rehne ke liye suitable living conditions aur protection provide ki jati hai. Law ke according yaha par animals ko kill karna ya capture karna strictly prohibited aur punishable hai. Jo log wildlife sanctuaries mein rehte hai unko waha par kuchh activities karne ki permission hai. Eg- woh waha par apne animals ko grazing ke liye le ja sakte hai, firewood collect kar sakte hai aur medicinal plants etc. bhi collect kar sakte hai.
    Kuchh threatened wild animals eg- black buck, white eyed buck, elephant, golden cat, pink headed duck, gharial, marsh crocodile, python, rhinoceros, etc. ko wildlife sanctuaries mein protect karne ke liye rakha gaya hai.
    Indian wildlife sanctuaries mein broad level of forests, mountain forests aur bush lands bhi hai lekin yaha par protected areas bhi poore safe nahi hai kyonki aas-paas rehne wale log hi inko harm karte hai aur destroy karte hai.
    Zoo bhi aise places hote hai jaha animals ko artificial habitat mein rakha jata hai lekin animals apne natural habitat mein hi jyada comfortable rehte hai aur long time tak survive kar pate hai.

    National Park

    ocr_image

  • National parks itne large aur diverse hote hai ki yeh whole sets of ecosystem ko protect kar sakte hai. India mein 100 se bhi jyada national parks hai.
  • Satpura National Park India ka first reserve forest hai. Yaha par india ki sabse fine quality ki teak paayi jati hai.
  • Yaha par rock shelters bhi paaye gaye hai jo iss jungle mein prehistoric human life ke evidence hai aur yeh hamein unki life ka ek idea bhi dete hai ki unki life kaisi thi.
  • Pachmarhi biosphere reserve mein bhi 55 rock shelters paaye gaye hai aur inn shelters mein rock paintings bhi paayi gayi hai jinme animals aur men ki fighting, hunting, dancing aur instruments playing ki figures depicted hai.
  • Project Tiger- Tiger unn species mein se ek species hai jo slowly hamare forests se disappear hoti ja rahi hai. Isliye inki species ko bachane ke liye government ne kuchh steps liye.
  • Yeh project government ne country mein tigers ko protect karne ke liye, unke survival ke liye aur unki population ko maintain karne ke liye launch kiya.
  • Satpura Tiger Reserve sabse unique hai kyonki yaha par tigers ki population mein ek significant increase dekha gaya.
  • Endangered animals- Aise animals jo itne kum hote ja rahe ho ki unko kuchh time baad extinction face karna pade, unko endangered animals kaha jata hai. Tiger bhi ek endangered animal hai.
  • Kuchh aisi species bhi hai jo extinct ho chuki hai. Eg- Dinosaurs.
  • Humans apni needs ke liye animals ke natural habitats ko disturb kar dete hai jisse unn animals ka survival difficult ho jata hai isliye sabhi national parks mein kuchh strict rules impose kiye gaye hai taaki animals ka natural habitat disturb na ho.
  • National parks mein human activities jaise grazing, poaching, hunting, capturing of animals, collection of firewood and medicinal plants, etc. kuchh bhi allowed nahi hai.
  • Big animals ke sath-sath small animals bhi hamare ecosystem ke liye bahut important hai lekin inki bhi bahut saari species extinct hoti ja rahi hai.
  • Ecosystem- Ecosystem mein sabhi living aur non-living components ek sath interact karte hai.
  • Red Data Book

    Red Data Book ek source book hai jisme endangered animals and plants ka record rakha jata hai. Red Data Book ko India mein bhi aur internationally bhi maintain kiya jata hai.

    Migration

    ocr_image

    Migration ka matlab hai ek jagah se doosri jagah move karna.
    Aise birds jo doosri land par pahunchne ke liye long distances cover karte hai, unko migratory birds kehte hai. Migratory birds every year ek particular season ke time climatic changes ki wajah se fly karke doosri jagah par move kar jaate hai. Iss time par inka natural habitat bahut cold aur inhospitable ho jata hai isliye yeh eggs lay karne ke liye doosri jagah move kar jate hai.

    Recycling of paper

    Trees ko paper banane ke liye bhi use kiya jata hai, yeh bhi deforestation ka ek bahut bada reason hai. One tonne paper banane ke liye 17 full grown trees ko use kiya jata hai. Daily paper banane ke liye bahut saare trees use kiye jate hai isliye hamein unnecessarily paper ko use nahi karna chahiye, paper ko waste bhi nahi karna chahiye. Ek paper ko hum 5 to 7 times use karne ke liye recycle kar sakte hai isliye hamein jitna ho sake paper ko recycle karke bhi use karna chahiye, isse hum ek year mein hi bahut saare trees ko save kar payenge.
    Ab hum deforestation ki problem ko solve karne ke liye ek aur tarika janege, iske baare mein hum next topic mein padhenge.

    Reforestation

    Reforestation ka matlab hai jo forests destroy kiye gaye hai waha par wapas trees plant karna. Deforestation ke effects ko kum karne ke liye hamein reforestation karna chahiye. Reforestation ke process mein hamein wahi same species ke trees waha plant karne chahiye jo uss forest mein paaye jaate the. Agar hum aise kisi place ko jaha par deforestation huva ho usko undisturbed chod de toh waha par natural reforestation bhi ho jata hai. Natural reforestation mein humans ka koi role nahi hota agar human unko disturb na kare toh nature apni healing khud kar leta hai.
    Humans nature ko bahut harm kar chuke hai, agar ab hum apne future generations ke liye green wealth ko retain karna chahte hai to hamein jyada se jyada trees plant karne chahiye.

    POINT 2

    Flora: The plants that grow naturally in a particular area are called flora of that area.

    Fauna: The animals which live naturally in a particular area are called fauna of that area.

    Species: A group of population or populations whose members have common characteristics and are capable of interbreeding among themselves to produce fertile off-springs.

    Endemic species: Those species of plants arid animals which are found exclusively in a particular area are called endemic species to a zone, a state or a country.

    Endangered species: The species which are facing the risk of extinction are called endangered species.

    Red data book: The Red Data Book is a public database produced to record endangered and rare species of plants, animals, fungi, and some local subspecies present in a given area.

    Reforestation: The planting of trees in an area in which forests were destroyed is called reforestation.

    Recycling: Recycling is defined as a process of converting waste and non-useful products into new and useful products for human use.

    SUMMARY

    1. Wildlife sanctuary, national park and biosphere reserve are names given to the areas meant for conservation and preservation of forest and wild animals.

    2. Biodiversity refers to the variety of living organisms in a specific area.

    3. Plants and animals of a particular area are known as the flora and fauna of that area.

    4. Endemic species are found only in a particular area.

    5. Endangered species are those which are facing the danger of extinction.

    6. Red Data Book contains a record of endangered species.

    7. Migration is the phenomenon of movement of a species from its own habitat to some other habitat for a particular time period every year for a specific purpose like breeding.

    8. We should save, reuse and recycle paper to save trees, energy and water.

    9. Reforestation is the restocking of destroyed forests by planting new trees.