Doubtnut Promotions Sticky

PHYSICAL AND CHEMICAL CHANGES for Class 7 SCIENCE

Introduction

Daily hum apne around bahut sare changes dekhte hai eg- sugar ka water mein dissolve hona, milk se curd banna, stretched rubber band, etc. Class 6 mein bhi hamne apne aas-paas hone wale changes ke bare mein padha. Hamne padha ki kuchh changes reversible hote hai aur kuchh irreversible bhi hote hai. Hamne physical aur chemical change ke bare mein bhi padha. Iss chapter mein hum physical aur chemical changes ko detail mein padhenge. Unke examples ko aur detail mein padhenge. Hum padhenge ki iron ki rusting kaise hoti hai, metal oxides kaise bante hai, unka nature kya hota hai, crystallisation kya hota hai, etc. Hum yha iron ko rust se bachane ke ways ke bare mein bhi sikhenge. Chemical reaction kaise hote hai yeh bhi hum iss chapter mein padhenge.

Physical Change

Ek aisa change jisme ek substance ki physical properties jaise shape, size aur colour mein change aata hai usko physical change kehte hai. Physical change mein koi new substance form nahi hota. Aise changes generally reversible hote hai. Yeh changes temporary hote hai.
Eg- Melting of ice- Ice ko melt hone ke bad freeze karke wapas ice mein convert kiya ja sakta hai; Crushing a small piece of chalk- Hum ek chalk ko crush karke uska dust collect karenge aur usme thoda sa water mix karenge, ek paste bana kar isko roll karke hum wapas chalk ki shape mein convert kar denge.
Iss tarah physical changes mein hum original object ko wapas obtain kar lete hai. Niche figure mein hum physical changes ke kuchh aur examples dekh sakte hai.

ocr_image

Chemical change

Ek aisa change jisme ek ya ek se jyada new substances form hote hai usko chemical change kehte hai. Chemical change ko chemical reaction bhi kaha jata hai.Niche figure mein hum chemical changes ke kuchh examples dekh sakte hai.

ocr_image

Chemical changes hamari life mein bahut important hai kyonki isme new substances ki formation hoti hai. Ab hum chemical reaction ki kuchh characteristics ke bare mein padhenge.

Characteristics of chemical reaction

  • Chemical changes ki wajah se hi new aur different substances form hote hai. Eg- Digestion of food in our body, ripening of fruits, fermentation, etc.
  • Chemical reactions mein new products banne ke sath heat, light ya other radiations bhi evolve ya absorb hoti hai.
  • Ek chemical reaction mein sound bhi produce ho sakti hai.
  • Isme substance ki smell mein bhi change aa sakta hai aur new smell bhi form ho sakti hai.
  • Chemical reaction mein colour change bhi ho sakta hai.
  • Isme kuchh gases bhi form ho sakti hai.
  • Ab daily life mein chemical changes ke kuchh examples ke bare mein padhte hai jisme new substances form hote hai.

    Formation of metal oxides
  • Magnesium ribbon ko jab open air mein choda jata hai toh wo air aur moisture ke sath react karke magnesium oxide aur magnesium carbonate ki layer form kar leta hai.
  • Iss layer ki wajah se magnesium burn nahi ho pata aur burn karne se pehle usko sand paper par rub kiya jata hai taki wo easily burn kar sake.

  • ocr_image

  • Magnesium oxygen ke presence mein ek brilliant white flame ke sath burn karta hai aur burn karne ke bad powdery ash mein convert ho jata hai. Iska reaction hai-

  • ocr_image

  • Iske ashes ko water mein mix karne par yeh magnesium hydroxide name ka ek substance banata hai. Iski reaction hai-

  • ocr_image

  • Magnesium hydroxide ek base hai aur yeh red litmus ko blue mein change kar deta hai.

  • Reaction of copper sulphate solution with iron

  • Ek beaker mein ek teaspoon copper sulphate lenge aur usko half cup of water mein dissolve kar denge.
  • Iss solution mein dilute sulphuric acid ke kuchh drops add karenge.
  • Hamein ek blue colour ka solution dekhne ko milega.
  • Iss solution ka thoda sa sample ek separate test tube mein lenge aur remaining solution mein ek iron nail ya shaving blade dalenge.
  • Half an hour ke liye wait karenge aur fir solution ka colour observe karenge.
  • Hum dekhenge ki sample solution blue colour ka hai lekin iss solution ka colour change ho kar green ho gaya hai.
  • Iss solution mein iron nail aur copper sulphate solution react karenge. Iron copper se jyada reactive hai isliye yeh solution mein copper ko displace kar dega aur iron sulphate bana dega iski wajah se solution green colour ka ho jayega aur iron nail par copper ki ek brown layer deposit ho jayegi.
  • Reaction-

  • ocr_image

    ocr_image

    Reaction between baking soda and vinegar
  • Ek test tube mein ek teaspoon vinegar lenge aur usme pinch of baking soda add karenge.

  • ocr_image

  • Baking soda add karte hi hamein kuchh bubbles dikhenge aur ek hissing sound sunayi degi.
  • Reaction-

  • ocr_image

  • Iss gas ko hum freshly prepared lime water mein se pass karenge.
  • Hum dekhenge ki gas ko lime water mein se pass karte hai toh calcium carbonate ke formation ki wajah se lime water milky ho jayega.

  • ocr_image

  • Reaction-

  • ocr_image

  • Lime water ka milky hona carbon dioxide ke presence ke liye ek standard test hai.
  • POINT 1

    Physical changes: A physical change in which a substance undergoes a change in its physical properties is called a physical change.

    Chemical changes: A change in which one or more new substances are formed is called chemical change.

    Rusting of iron

  • Agar hum kisi bhi iron object ko kuchh time ke liye open air mein chod dete hai toh iss par brownish substance ki ek layer aa jati hai. Iss substance ko hum rust kehte hai aur iron material par yeh brownish film banne ke process ko hum rusting kehte hai.

  • ocr_image

  • Yeh chemical change hum apni day to day life mein regularly dekhte hai. Iski reaction hai-

  • ocr_image

    Rusting ke liye air mein oxygen aur water dono ka hona jaruri hai. Air mein moisture jitna jyada hoga rusting utni hi fast hogi.
  • Hum dekhte hai ki iron gates, garden ke benches ya iron ka aur koi bhi material kuchh time ke liye open air mein rakha jaye toh us par rust lag jata hai.
  • Hum kitchen mein agar wet tawa bhi kuchh time ke liye chod denge toh us par bhi rust lag jayega.
  • Lekin agar aise hi sabhi objects par rust lagta rahega toh sabhi objects kharab ho jayenge. Ab hum iron ko rusting se protect karne ke process ke bare mein padhenge.
  • Agar hum iron ko oxygen aur water ke contact mein na aane de toh hum isko rusting se bacha sakte hai. Hum iron par grease, paint ya kisi bhi aur material ki coating karke isko oxygen aur water ke contact mein aane se bacha sakte hai jisse iron ki rusting nahi hogi.
  • Iske liye hamein regularly yeh coatings apply karte rehna chahiye.
  • Galvanisation - Yeh iron ko rusting se bachane ka ek process hai jisme hum iron object par zinc ki ek layer deposit kar dete hai. Iss process ko galvanisation kehte hai.
  • Hum rusting se prevent karne ke liye zinc ke alawa chromium ka use bhi kar sakte hai.
  • Eg- Ships bhi iron se bane hote hai aur unka lower part hamesha water mein rehta hai aur upar vale part par bhi water droplets jaate rehte hai isliye rusting ke jyada chances hote hai. Sea water mein salt ke presence ki wajah se rusting ka process aur bhi fast ho jata hai. Again and again painting karne ke bad bhi waha rust lag jata hai jiski wajah se ship ke ek fraction ko every year replace karna padta hai aur isse monetary loss bahut jyada hota hai.
  • Rusting se prevent karne ke liye aaj-kal iron ki jagah stainless steel ka use kiya jata hai.
  • Stainless steel iron ko carbon, nickel aur manganese ke sath mix karke banaya jata hai. Stainless steel par rust nahi lagta.
  • Crystallisation

    Pure substances ke crystals ko unke solutions se separate karne ke process ko crystallisation kehte hai. Crystallisation physical change ka hi ek example hai.
    Ab hum crystallisation ke process se copper sulphate solution mein se copper ke crystals ko separate karenge.

  • Firstly, ek beaker mein ek cup water lenge aur usme kuchh drops dilute sulphuric acid dalenge.
  • Water ko heat karenge aur jab water boil hona start kar dega tab usme continuously stir karte huye slowly copper sulphate powder add karenge.
  • Jab tak powder dissolve hona band nahi ho jata tab tak continuously powder add karte rahenge.
  • Solution ko filter karenge aur cool hone ke liye chod denge.
  • Kuchh time bad jab solution cool hojayega tab hamein copper sulphate ke crystals obtain honge.
  • Iss tarah hum kisi substance ka solution prepare karke uske crystals obtain kar sakte hai.

  • ocr_image

    POINT 2

    Galvanisation: The process of depositing zinc on the surface of Iron to prevent rusting is called as galvanisation.

    Crystallisation: The process of separation of salts from their solution is called as crystallisation.

    Rusting of iron: When substances made of Iron are exposed to oxygen and moisture in the atmosphere, it forms a red layer, which is called rust and the process is called rusting.

    DIFFERENCE

    ocr_image

    SUMMARY

    1. Changes can be of two types, physical and chemical.

    2. Physical changes are changes in the physical properties of substances. No new substances are formed in these changes. These changes may be reversible.

    3. In chemical changes new substances are produced.

    4. Some substances can be obtained in pure state from their solutions by crystallisation.