LIGHT, SHADOWS AND REFLECTION for Class 6 SCIENCE

INTRODUCTION

Hum apne aas-paas bahut saare objects dekhte hai jaise cars, buses, cycles, trees, etc. Lekin kya aapne kabhi socha hai ki hum inn objects ko dekh kaise paate hai? Kya kabhi hamne yeh socha ki ek completely dark room mein hamein kuchh dikhayi kyo nahi deta aur uss room mein candle ya light on karne ke bad sab kaise dikhayi deta hai?
Yeh sab kuchh light ki wajah se possible hai, toh iss chapter mein hum light ke baare mein padhenge, usse banne wali shadows ke baare mein padhenge; transparent, translucent aur opaque objects ke baare mein padhenge. Iss chapter mein hum mirror aur reflection ke baare mein bhi thoda janege. Toh sabse pehle hum light ke baare mein kuchh basic things jaan lete hai.

Let’s Understand what is Light?

Light- Light ek form of energy hai aur yeh kisi source se emit hoti hai jaise sun, tubelight, bulb, etc. Lekin hum iski help se objects ko kaise dekh paate hai? Jab bhi kisi object par light padti hai toh kuchh light reflect ho kar hamari eyes mein padti hai jiski wajah se hum objects ko dekh paate hai.

Characteristics Of Light

  • Light straight line mein travel karti hai.
  • Yeh reflect aur bend ho sakti hai.
  • Light ki speed 3×108 m/sec hai.
  • Sources of light do types ke hote hai-
    Luminous Object: Aise objects jo light emit karte hai ya jinki khud ki light hoti hai unko luminous object kehte hai. Eg- Sun, torchbulb, star, etc.
    Non-Luminous Object: Aise object jinki apni light nahi hoti unko non-luminous object kehte hai. Eg- Table, trees, moon, etc.
    Ab hum aise materials ke baare mein jante hai jo light emit karte hai. Yeh materials teen type ke hote hai- transparent, translucent aur opaque. Ab iss chapter ke baare mein hum further detail mein padhenge.

    Transparent, Opaque And Translucent Objects

    Transparent Object: Jo object light ko pass karne ke liye allow karta hai aur usme se hum clearly doosri taraf dekh sakte hai, aise object ko transparent object kehte hai. Eg- Clean glass, water, air, etc.
    Opaque Object: Jo object light ko pass nahi karne deta aur usme se hum doosri taraf ki cheejo ko nahi dekh paate, aise object ko opaque object kehte hai. Eg- Frosted glass, wax paper, butter paper, smoke, etc.
    Translucent Object: Jo object light ko partially pass karne dete hai aur jinme se hum dekh to sakte hai lekin clearly nahi dekh sakte, aise objects ko translucent object kehte hai. Eg- Stone, metal, wood, etc.

    ocr_image

    What exactly are shadows?

    Jab bhi koi opaque object light ke path ko block karta hai toh object ke opposite side par ek dark portion banta hai, object ke iss dark portion ko hum shadow kehte hai.
    Shadow banne ke liye hamein ek light source, opaque object aur ek screen required hoti hai jis par hum image obtain kar sake. Shadow ki outline hamein different objects ko identify karne mein help bhi karti hai aur sometimes hamein mislead bhi karti hai.

    ocr_image

    A Pinhole Camera

    Pinhole camera ek device hai jo screen par bright object ki photograph-like image banata hai. Yeh iss principle par work karta hai ki light straight mein travel karti hai.
    How to make a pinhole camera?
  • Firstly do aise cardboard ke boxes lijiye ki ek box doosre box mein slide karke fit ho sake.
  • Box ki each side ko cut karke open kijiye.
  • Ab larger box mein cut ki hui side ke opposite side mein middle mein small hole banaye.
  • Smaller-box ke middle mein 5-6 cm side ka ek square draw kijiye aur iss open square ko tracing paper se cover kar dijiye.
  • Ab smaller box ko larger box ke andar iss tarah slide kijiye ki square ki side hole ke upar coincide kare. Ab hamara pinhole camera ready hai.

  • ocr_image

    Ab hamne camera toh bana liya, ab hum isko use karne ke baare mein janege aur janege ki yeh kaisi images form karta hai.
  • Pinhole camera ko hold karenge aur smaller box ke open face ke through dekhenge.
  • Pinhole camera aur apne head ko black cloth se cover karenge aur ab kuchh distant objects ko pinhole camera se dekhne ki koshish karenge.
  • Hamein dhyan rakhna hai ki jo objects hum dekhne ki koshish kar rahe hai woh bright sunlight mein ho.
  • Ab smaller box ko tab tak forward aur backward move karenge jab tak tracing paper par hamein object ki image show nahi hoti.
  • Iss tarah hum pinhole camera mein objects ki image ko dekh paate hai. Pinhole camera ki help se hum eclipse ke time par sun ko dekh sakte hai. Jab hum eclipse ke time par pinhole camera ki help se sun ko dekhte hai toh hum dekh paate hai ki eclipse ke time par sun ki image dark hoti jati hai.
    Note: Hamein eclipse ke time par kabhi bhi sun ko directly naked eyes se nahi dekhna chahiye, yeh hamari eyes ke liye bahut harmful ho sakta hai.
    Hum nature mein bhi aise natural pinhole camera dekh sakte hai. Kabhi kabhi jab bahut saari leaves se covered trees ke beech mein se jab light pass ho kar light ke small patches bante hai toh yeh ek pinhole camera ki tarah act karta hai.
    Pinhole camera se bani images upright hoti hai, real hoti hai kyonki woh screen par obtain ki ja sakti hai, same colour as of object hoti hai leki actual object size se choti hoti hai.

    Mirrors And Reflection

    Mirror- Mirror ek polished surface hota hai jo object ki image banata hai.
    Mirror teen types ke hote hai-
    (i) Plane mirror: Isme same size ki images banti hai.
    (ii) Concave mirror: Isme mostly real aur inverted image banti hai.
    (iii) Convex mirror:Isme mostly virtual aur erect image banti hai.
    Reflection: Jab light kisi shiny aur smooth surface par padti hai toh woh same medium mein bounce back ho jati hai, issi phenomenon ko reflection of light kehte hai.

    ocr_image

    POINT 1

    Light: It is a form of energy which is responsible for seeing objects.

    Luminous object: The objects which emit their own light is called luminous object.

    Non-luminous object: The objects which do not emit their own light is called non-luminous object.

    Transparent object: If you are able to see clearly through an object, it is allowing light to pass through it and is transparent.

    Translucent object: There are some objects through which we can see, but not very clearly. Such objects are known as translucent.

    Opaque object: If we cannot see through an object at all, it is an opaque object.

    Reflection: When a ray of light falls on a smooth and polished surface, light returns back in the same medium. It is called reflection.

    SUMMARY

    1. Opaque objects do not allow light to pass through them.

    2. Transparent objects allow light to pass through them and we can see through these objects clearly.

    3. Translucent objects allow light to pass through them partially.

    4. Shadows are formed when an opaque object comes in the path of light.

    5. Pinhole camera can be made with simple materials and can be used to image the Sun and brightly lit objects.

    6. Light travels in straight line.

    7. Mirror reflection gives us clear images.